Posts

Showing posts from April, 2019
हक़ीक़त है थोड़ी सी और थोड़ी सी अपनी परछाई भी !!! चल जी लें जरा हम भी आज,जहाँ थोड़ा लुत्फ़ भी हो  और लुत्फ़ की गहराई भी!! चल चलें वहाँ आज ए दिल ,जहाँ सुक्कून भी हो और थोड़ी तन्हाई भी !! थोड़ा मायूस मैं हूँ और कुछ इस दिल में है रुस्वाई भी!! हक़ीक़त है थोड़ी सी और थोड़ी सी अपनी परछाई भी !!! चल जी लें जरा हम भी आज,जहाँ थोड़ा लुत्फ़ भी हो  और लुत्फ़ की गहराई भी!! अभी अभी एक आहट से मैं मानो सेहम सा गया था कुछ पल के लिए !! जैसे दूर जाने लगी हो मुझसे मेरी यह  परछाई भी!!
Jaanata hu haqiqat duniya ki mein bhi par jaan k bhi khamosh hu or use anjaan hu, aaina mera toota tha to chehra mujhe toota hua dikha, bas yahi soch kar ab pareshaan hu,  Duniya or waqt ek jaise hein, kabhi ek se nahi rahte,  Samjhaa nahi paata kabhi kisi ko, jaanata hu magar fir bhi sabse aksar chupata hu k mein ander se kitna naadan hu!!
Khawabon ki us duniya mein kabhi haqiqat nahi mil pati mujhko!!! Warna u hi nahi aksar Adhure khawab ki adhuri neend se uth jaate hum!!!
Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!! lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!! dhundate rahte hein khud mein hi kuchh an kahi hui baaton ko!! lekin lagta hai jazbaaton ne bhi khud ko mujhse chhupa liya hai shaayad!! jo tanha baithu to saamane aa ja jaate hein jazbaat mere, khamosh se hote hein , kuchh kehna yeh bhi chahate hein mujhse shaayad!! Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!! lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!! Kabhi zindagi ne apna chehra badal liya to kabhi jazbaaton ne andaaz-e-byaan badal liya, Ek hum hi khud ko badal na paaye shaayad!!! Zindagi ko samjhu ya jazbaaton ko samjhau, bas isi kasham-kash mein thoda bikhar gya hu shaayad!! Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!! lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!! Na zindagi kuchh kehti hai or na hi jazbaat mujhe kuchh samjhaa paate hein apni haqiqiat, Mein khud gehraiyon mein hi kuchh doob gya hu shaayad, Ek sanaaata hai har taraf or mayusi si hai is gehrai mei...
Samunder ko dekh raha tha mein yu hi ek din akela kinaare pe baith kar,bas jaise lehrein maano kuchh keh rahi thi baar baar mere paas aa kar!! shaayad zindagi bhi kuchh aisi hai, Ek samunder sa hai mere armaano ka mujh mein bhi, par aksar chhupi hui hasraton ko dekh raha tha mein yu hi ek din akela ek kone mein baith kar,bas jaise samunder khamosh sa rehta hai apni lehron ko dekh kar!! soch raha tha mein yu hi k samundar ki gehrai kya hogi,fir ek lehar aayi khamoshi se maano  jaise chhu rahi thi or kuchh keh rahi thi , tab yuhi ek pal uh hi samunder ko dekha or uski mere paas aati lehron ki, shaayad zindagi hai uski or meri bhi aisi hi, farak yeh hai k koi bejubaan ho kar bhi sab bata jaata hai aksar humko or ek hum hein ki kahne ke liye bhi khamoshi ki ek wajah dhundate rehte hein, Samunder ko dekh raha tha mein yu hi ek din akela kinaare pe baith kar,bas jaise lehrein maano kuchh keh rahi thi baar baar mere paas aa kar!! us samundar mein mujhe khud k armaaon ka khafila dikha or ...
Zindagi shaayad wahi thi jab jeene or sochne mein ek saadgi thi,  Aaj waqt badla to lamhe badle isliye shaayad aaj apno se yeh duri lazmi thi!
Image
Ek mein or ek meri Umeed!!!
Kahne ko to woh jaam tha, par is kadar badnaam tha,  Suna hai dard sab ka baantata tha, or fir bhi kuchh kehta tha,  Par kya kahein, dushman or apne, SAB mein hi uska naam tha!!  Sab suna har kisi ka usne, par kabhi kuchh bhi kaha nahi!!  Asliyat pata thi shayaad usko fir bhi soch kar khamosh ho jata tha k yeh to duniya hai matalabi si or use khushi thi k woh ek jaam tha!!  Kabhi bhar jaata to kabhi bilkul khaali, Yehi haqiqat thi shayad uski or yehi shayad uski achhaai ka Anjaam tha!! Fir bhi Khush tha woh yeh sochkar k woh ek insaan nahi ek jaam tha!!
yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!! chal pada mein bhi haara hua khamosh sa us maikhaane ki or kyunki jyaada hi chubh raha tha mujhe is matlabi duniya ka shor, bas aaya or baitha gya mein bhi maikhaane mein , par kuchh nahi tha mere dil ke paimaane mein! yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro k uchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!! maikhana bhara pada tha zindagi ki sachaai se, sab bhaag k yaha aaye the us matlabi parchaai se, kisi ka bhara , kisi ka aadha to kisi k kuchh bhi nahi tha paimane mein, jaise maano kah rahe the paimaane mujhse k aisa bhi kya hota hai is zamaane mein!! yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paay...