Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!!
lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!!
dhundate rahte hein khud mein hi kuchh an kahi hui baaton ko!!
lekin lagta hai jazbaaton ne bhi khud ko mujhse chhupa liya hai shaayad!!
jo tanha baithu to saamane aa ja jaate hein jazbaat mere,
khamosh se hote hein , kuchh kehna yeh bhi chahate hein mujhse shaayad!!
Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!!
lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!!
Kabhi zindagi ne apna chehra badal liya to kabhi jazbaaton ne andaaz-e-byaan badal liya,
Ek hum hi khud ko badal na paaye shaayad!!!
Zindagi ko samjhu ya jazbaaton ko samjhau,
bas isi kasham-kash mein thoda bikhar gya hu shaayad!!
Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!!
lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!!
Na zindagi kuchh kehti hai or na hi jazbaat mujhe kuchh samjhaa paate hein apni haqiqiat,
Mein khud gehraiyon mein hi kuchh doob gya hu shaayad,
Ek sanaaata hai har taraf or mayusi si hai is gehrai mein,
Waqt inse sab loot ke le gaya hai shaayad!!
Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!!
lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!!
Koshish to bahut ki zindagi ko manaane ki or dil-e-jazbaaton ko samjhaane ki,
Mein bhi kuchh thoda sa seham gaya hu shaayad!!!
Jubaan meri khamomshiyon ki aaj bhi wahi hai!!!
lekin andaaj-e- byaan badal gaya hai shaayad!!

Comments

Popular posts from this blog