yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!!
chal pada mein bhi haara hua khamosh sa us maikhaane ki or kyunki jyaada hi chubh raha tha mujhe is matlabi duniya ka shor,
bas aaya or baitha gya mein bhi maikhaane mein , par kuchh nahi tha mere dil ke paimaane mein!
yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!!
maikhana bhara pada tha zindagi ki sachaai se, sab bhaag k yaha aaye the us matlabi parchaai se,
kisi ka bhara , kisi ka aadha to kisi k kuchh bhi nahi tha paimane mein,
jaise maano kah rahe the paimaane mujhse k aisa bhi kya hota hai is zamaane mein!!
yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!!
kisi ka shor tha or kisi ki tanhai bhi yaha khub gungunaa rahi thi, maano jaise bina sargam k hi yaha zindagi ki dhun gaayi ja rahi thi,
ajab aalam tha or gajab ka dastoor tha, har koi bina bole yehi samjha raha tha k ismein mera kya kasoor tha!!
mein bhi bas ek kone mein khamosh sa baitha sab dekh raha tha,
or mujhe bhi paas mein rakha ek khaali paimaana maano jaise ghoor raha tha !!
yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!!
Bas yu hi ek nazar kabhi saaki ko to kabhi paimaane dekhata rha mein bhi,
or jaana k yaha khamoshi or shor ka matlab hi kuchh or tha!!!
zindagi tu bhi kya cheej hai, k har ek manjar pe tera chehra ajeeb hai,
paimaane mein mein tujhe paaya or kabhi maikhane mein tujhe paaya,
tu agar yeh bata de mujhko to samjh jaau mien bhi,
K paimaane tere saath mein ya fir maikhana tere kareeb hai!!
yu hi ek din ek shaam thakaa haraa kuchh socha raha tha mein, yaaro kuchh khaas wajah nahi thi bas ek bheed mein bhi jo maine khud ko tanha paaya, bas yu hi mujhe maikhaane ka khayaal aaya!!

Comments

Popular posts from this blog